|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Nithari Narco Test
Aaj kal akhbaron main, tv channels par ek he khabar chaai hui hai, aur woh hai Nithari kaand ke aaropiyon ka Narco Analysis Test. Kya aise test karne se sachchaai saamne aa jati hai, Kya woh vyakti jis par yeh aarop laga hai gunah main shamil hone ka, kya woh sach bolta hai test ke dauraan. Kya aise test visvasniya hote hain, agar haan to phir meri jigyasa aur badh gai hai.
Agar aapko yaad ho Telgi kaand, to phir Abdul Karim Telgi ka bhi Narco Test huaa tha, test main ushne Bharat ke ek Mahaan neta aur ushke pradesh ke kai chote mote mantriyon ke bhi naam bataye they.....nahin yaad aaya, are sahab apne Mahan Bahrat ke Purv Raksha Mantri...aaj ke Krishi Mantri Mahamaheem Shrimaan SHARADCHANDRA PAWARji maharaj, inke chele Shrimaan Chagan Bhujbal, Bhootpurva Oop Mukhyamantri aur aaj ke Cabinet Minister - Govt. of Maharashtra.
Yeh kaand 30,000 crore ruapyon se bhi jyada ka hai. Haaanji sir, to aisa hai ki Bhai Sharad Pawar ne ish test report ko sadharan tareeke se khariz kar keh diya, ki aise chote mote choron ki baaton ka main yakeen nahin karta, aur aam Janta ko bhi ish baat ko ek kaan se soonkar doosre kaan se nikal dena chiye.
Ish stamp paper ghotale ko na he TV Media ne aur na he Print Media ne tavajjo di. Lagta hai mantri shahb ka pressure kaam kar gaya. Na hi Supreme Court , na he CBI ne ish test ki visvasniyat ko gambhirta se liya.....natija,,,,,,dhaak ke teen paat.
Gunah gunah hota hai, chahe woh mantri ho ya aam aadmi,,,kanoon to sabhi ke liye saman hota hai na. Mera prashan sirf itna hai ki ish report ki bina par Sharad Pawar aur ushki toli ke anya sadasyon ko geraftar kar ke unki remand li gai......kaash aisa hota to aam aadmi ka desh ke kanoon par phir se bharaosha badh jata, jo gat varshon main dharashai ho gaya hai.
Aisa lagta hai TV CHANEEL aur PRINT MEDIA sabhi ko maal pahoonch gaya tha mantri ke dwara, so kisi ko kya padi hai Bharat Desh ki....Sabka Malik Ek.......paisa boss paisa.
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|