rediff ILAND
Welcome Guest, | Create your own iLand| Sign In  | New User? Get Started
BLOGS
iLand
Blogs
Friends/Contributors
Guestbook  
 
Arun Gupta
Categories
Politics
Mera Bharat Mahaan
My Top Posts
Tumhare liye...
Nithari Narco Te...
Wah wah Manmohan...
Sharad Pawar is ...
DO PANKTIYAAN...
What is an RSS feed?
RSS Feed 
arungupta.rediffiland.com/  
Monday 21 July, 2008
 13:04 | 5/Sep/2007 |  0 Comment(s)
  Add Arun Gupta as Friend     Write to Arun Gupta     Forward this link
Dahi haandi of Bombay....

Aap sabhi jaanate honge ki Bambai may Janmastami ke paavan tyohar ko Dahi Haandi / matki fode ke roop may manaya jata hai. Vigat varshon may ishka swaroop ish had tak badal chuka hai ke...kya kahain. Kuch saal pehle tak yeh bahut he sadagi se, bina jyada tamasha kiye manaya jata tha. Parantu pichle 4-5 saalon se in sadak chaap rajnitik partiyon ne ishaka satyanaash kar diya hai. Kisi ki jaan ki keemat kuch hazar ya laakh rupaye inhone taye kar diye hain...ji haan....koi 51,000 to koi 1,00,000 ya koi 5,00,000.


Aascharya to tab hota hai jab inse inke Mahaannnnnnnnnnnn Neta yeh nahin poochte ya kehte ki bhaiye, kyon logon ki jaan lena chate ho. 2-4 laakh ke liye kyon logon ko jaan ki baazi lagane ka nyota dete ho.....parantu nahin yeh bhi gali / mohallon, sadakon par, chorahon par apni Tasveer se saje banner / hording dekhkar ke aatm vibhoot ho jate hain...kisi ki jaan jaye to jaaye...inki bala se.


Yeh Thakrey, Pawar, Rane aur na jaane kitne aise neta hain, jo sahar ka satyanash karne may lage hain. Kaun se granth may likha hai ki tyohar ke naam par logon ki jaan se khilvaad kiya jaaye. Aaj ke Hindustan Times may ek report chapi hai, jishme likha hai ki bambai ke KEM aspataal may kal 300 se jyada logon ko haddi tootne aur dooshri choton ki vajeh se dakhil kiya gaya hai...Yeh to sirf ek KEM aspataal ki baat hui. Ishke alava saikdon sarkari aur gair sarkari aspataal hain, jaha ke aankde shayad he kisi akhbar may ya koi channel vala dikhaye. Yeh TV channel vale bhi aisi bakwas khabron ko LIVE dikhate rahe...mano sare desh may yehi ek Sahar bacha hai,,,jahaan Janamastmi manaai ja rahi hai. Par yeh bhi kya karain, inke studio /dafter bhi to Bambai may he hain,,,agar covernahin karenge to in tathakathit netaon ki in channel may jo union hain,,,wohtod fod ke rakh denge...wah re Loktantra...Jai Shri Krishna Bhagwan Ki..


 

as

Category: Mera Bharat Mahaan | Permalink